Mazhab-e-ishq Mein Shajara Nahin Dekha Jata
mazhab-e-ishq mein shajara nahin dekha jata
hum parindon mein qabila nahin dekha jata
lashkar-e-KHwab kisi taur utar aankhon mein
raat bhar nind ka rasta nahin dekha jata
surma bap ne talwar bhi girwi rakh di
hath mein bachchon ke kasa nahin dekha jata
tum mere yar ho kaise main hara dun tum ko
mujh se dushman ko bhi paspa nahin dekha jata
is zamane ko faqat maut nazar aati hai
Dubne wale ka jazba nahin dekha jata
ai azizo! mujhe miTTi ke hawale kar do
mujh se ab jism ka malba nahin dekha jata
jab se dariya pe hua pyas ka qabza 'hashim'
lab-e-dariya koi pyasa nahin dekha jata
(1650) Peoples Rate This