Faisla Hijr Ka Manzur Bhi Ho Sakta Hai
faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai
aadmi ishq mein majbur bhi ho sakta hai
waqt ke pas nahin zaKHm-e-mohabbat ka ilaj
waqt ke sath ye nasur bhi ho sakta hai
ji mein aata hai use hath laga kar dekhun
nur sa lagta hai, wo nur bhi ho sakta hai
apne kandhon pe salibon ko uThae hue hain
ishq-zadon ka ye dastur bhi ho sakta hai
zehn ka kya hai ki bachne ke bahane DhunDe
dil to jaanbaz hai, mansur bhi ho sakta hai
sher kahne ka saliqa nahin 'hashim' ko magar
teri tanqid se mashhur bhi ho sakta hai
(858) Peoples Rate This