Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7919546c44a949fa66ac17486d1611b8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dasht Mein KHak UDate Hain Dua Karte Hain - Hashim Raza Jalalpuri Poetry In English - Darsaal

Dasht Mein KHak UDate Hain Dua Karte Hain

dasht mein KHak uDate hain dua karte hain

hum qalandar jahan jate hain dua karte hain

yar to yar hain dushman bhi sada dur rahen

ishq se jaan chhuDate hain dua karte hain

ye saliqa ki mohabbat ne sikhaya hai hamein

zaKHm hanste hue khate hain dua karte hain

tera dil shad rahe aur tu aabaad rahe

hum tujhe chhoD ke jate hain dua karte hain

hum kabhi dar-o-rasan par kabhi zindanon mein

jaan ki bazi lagate hain dua karte hain

ghaalib-o-mir se nisbat ka sharaf hasil ho

aao ab hath uThate hain dua karte hain

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht Mein KHak UDate Hain Dua Karte Hain In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Dasht Mein KHak UDate Hain Dua Karte Hain is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Dasht Mein KHak UDate Hain Dua Karte Hain for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Dasht Mein KHak UDate Hain Dua Karte Hain in PDF.