Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2ed8cbff7dc6eeda3e81257f1c7bea2a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Badan Se Ruh Ham-aghosh Hone Wali Thi - Hashim Raza Jalalpuri Poetry In English - Darsaal

Badan Se Ruh Ham-aghosh Hone Wali Thi

badan se ruh ham-aghosh hone wali thi

phir is ke baad subuk-dosh hone wali thi

nasib paDh ke mera ilm-e-ghaib ki dewi

yaqin jaaniye behosh hone wali thi

na sirf tegh ki pi kar mere lahu ki sharab

zamin-e-dasht bhi madhosh hone wali thi

nigar-KHana-e-dil mein ye dhaDkanon ki ghaDi

tere na aane se KHamosh hone wali thi

main ek laDka wafa-dariyon ka parcham-dar

wo ek laDki jafa kosh hone wali thi

meri jawani talash-e-maash mein 'hashim'

watan se dur faramosh hone wali thi

(1115) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Se Ruh Ham-aghosh Hone Wali Thi In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Badan Se Ruh Ham-aghosh Hone Wali Thi is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Badan Se Ruh Ham-aghosh Hone Wali Thi for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Badan Se Ruh Ham-aghosh Hone Wali Thi in PDF.