Nigahen Jhuk Gain Aaya Shabab Aahista Aahista
nigahen jhuk gain aaya shabab aahista aahista
paDa aankhon pa palkon ka hijab aahista aahista
sawali ban ke jab mushtaq nazren paD gain un par
nigahon ne diya un ki jawab aahista aahista
kabhi ashkon ke tufan mein kabhi mizhgan se daman mein
lahu ka dil baha yun be-hisab aahista aahista
isi ummid par to ji rahe hain hijr ke mare
kabhi to ruKH se uTThegi naqab aahista aahista
KHayalon se ruKH-e-zeba jo aksar dekh leta hai
miTa jata hai wo bhi kaif-e-KHwab aahista aahista
ruKH-e-zeba pe lahren leti hain kuchh is tarah zulfen
ki jaise chand par chhae sahab aahista aahista
mata-e-zindagi samjha tha soz-e-gham ko main 'hashim'
miTa jaana hai wo bhi iztirab aahista aahista
(697) Peoples Rate This