Waqt Ka Suraj Jalan Ke Rup Mein Jab Aa Gaya
waqt ka suraj jalan ke rup mein jab aa gaya
sang-tan par dhup ke sailab ko roka gaya
past himmat ke zariye ho gaya radd-e-amal
hum ko be-maqsad dilasa de ke bahlaya gaya
be-zaban zaKHmon ko fart-e-KHwahishat-e-zist ko
jo na samjha ghair-zimm-e-dar wo samjha gaya
dard ki lahron ne rakkha muztarib anfas ko
nam ke tufan se jism-e-arzu Dhanpa gaya
aaKHiri baaton ki ruposhi ke wo qail na the
kahne walon ko magar kahne se bhi roka gaya
hum bachate hi rahe us ko mohabbat se 'hasir'
apni harakat se magar wo KHud yahan pakDa gaya
(820) Peoples Rate This