Jina Mujhe KaThin Ho Ki Marna Muhaal Ho
jina mujhe kaThin ho ki marna muhaal ho
ehsas-o-agahi ka magar kyun malal ho
har roz sochta hun nae taur se tumhein
mere liye tum ek anokha sawal ho
tha dard to dilon mein samaya hua tha main
hun pas hi to ab kise mera KHayal ho
rahat ghamon ki aanch ho gham rahaton ki ruh
ye zist ho to mere liye kyun wabaal ho
wo kahkashan ki samt na dekhe to kya kare
jis ko teri gali se guzarna muhaal ho
girte hue daraKHt ki banhon se dur bhag
aaghosh-e-aftab mein jo kuchh bhi haal ho
sadiyon se kuchh wazahaten yun kar raha hai zehn
jaise ki aas-pas ki har shai sawal ho
is ghar ki chhat ka koi bharosa nahin hai 'soz'
in barishon mein dekhiye kya apna haal ho
(838) Peoples Rate This