Uski Aankhen Hare Samundar Uski Baaten Barf
us ki aankhen hare samundar us ki baaten barf
phir bhi naqsh hua hai dil par us ka ek ek harf
koi bhare kanTon se daman koi phul chune
apna apna daman sab ka apna apna zarf
us ki chah mein ranjha ban kar bela bela ghume
dhup ke is sahra mein apni umr hui hai sarf
ek duje ko dekh na pae barson bit gae
aankhon ki putli mein kho kar rah gae kitne harf
sukhe dariyaon ki surat qatra qatra tarsen
jaane kab chamkega suraj kab pighlegi barf
(1261) Peoples Rate This