Surat Hai Wo Aisi Ki Bhulai Nahin Jati
surat hai wo aisi ki bhulai nahin jati
rudad-e-gham-e-hijr sunai nahin jati
har subh-e-alam sham-e-sitam ka hai tasalsul
kya dil pe guzarti hai batai nahin jati
kahti hai dulhan sham ki baalon ko bikhere
yun nind bhi aankhon se uDai nahin jati
chahat pe kabhi bas nahin chalta hai kisi ka
lag jati hai ye aag lagai nahin jati
aasan nahin hai nai duniya ka basana
lekin kabhi tanha ye basai nahin jati
ashkon se 'hasan' aag kahin dil ki bujhi hai
ye aag to dariya hai bujhai nahin jati
(1002) Peoples Rate This