Phir Nae KHwab Bunen Phir Nai Rangat Chahen
phir nae KHwab bunen phir nai rangat chahen
zinda rahne ke liye phir koi surat chahen
nae mausam mein karen phir se koi ahd-e-wafa
ishq karne ke liye aur bhi shiddat chahen
ek wo hain ki nazar bhar ke na dekhen hum ko
ek hum hain ki faqat un ki hi surat chahen
baat sunne ke liye hausla dil mein rakkhen
baat kahne ke liye harf-e-sadaqat chahen
un ko pane ke liye tesha-e-farhad banen
qais banne ke liye qais si wahshat chahen
sans qurban karen des pe ek din hum bhi
aisi taqdir mile aisi saadat chahen
hum milen aise ki jon rang mile pani mein
un ki qurbat mein 'hasan' aisi rifaqat chahen
(903) Peoples Rate This