Na Wo Iqrar Karta Hai Na Wo Inkar Karta Hai
na wo iqrar karta hai na wo inkar karta hai
hamein phir bhi guman hai wo hamin se pyar karta hai
main us ke kis sitam ki surKHiyan aKHbar mein dekhun
wo zalim hai magar har zulm se inkar karta hai
munDeron se koi manus si aawaz aati hai
koi to yaad hum ko bhi pas-e-diwar karta hai
ye us ke pyar ki baaten faqat qisse purane hain
bhala kachche ghaDe par kaun dariya par karta hai
hamein ye dukh ki wo aksar kai mausam nahin milta
magar milne ka wada hum se wo har bar karta hai
'hassan' raaton ko jab sab log miThi nind sote hain
to ek KHwab-ashna chehra hamein bedar karta hai
(3027) Peoples Rate This