Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b8f98c23c69fa081e89941087eeca361, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Apne Aap Se Ghafil Na Yun Hua Hota - Hasan Rizvi Poetry In English - Darsaal

Main Apne Aap Se Ghafil Na Yun Hua Hota

main apne aap se ghafil na yun hua hota

mere bhi pas agar koi aaina hota

zara tu soch ki itna hi kar liya hota

mujhe kitab samajh kar hi paDh liya hota

tamam umr faqat ek aarzu hi rahi

kiya tha pyar to phir TuT kar kiya hota

ye aur baat ki main tujh se dur hun lekin

main tere pas bhi hota bhala to kya hota

papiha sawanon mein yun pukarta na kabhi

agar tu chandni raaton mein mil gaya hota

meri bisat ke bare mein puchhne wale

kisi faqir ka chehra hi paDh liya hota

karun to kis se karun main gila jahaalat ka

ye aarzu thi ki main bhi paDha likha hota

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Aap Se Ghafil Na Yun Hua Hota In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Main Apne Aap Se Ghafil Na Yun Hua Hota is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Main Apne Aap Se Ghafil Na Yun Hua Hota for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Main Apne Aap Se Ghafil Na Yun Hua Hota in PDF.