Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_25829b9de5d5a50fedfe6058b5a2badb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna Kabhi DaraKHton Pe Nam Likhna - Hasan Rizvi Poetry In English - Darsaal

Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna Kabhi DaraKHton Pe Nam Likhna

kabhi kitabon mein phul rakhna kabhi daraKHton pe nam likhna

hamein bhi hai yaad aaj tak wo nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo bahki baaten sulagte din the mahakti raaten

wo chhoTe chhoTe se kaghazon par mohabbaton ke payam likhna

gulab chehron se dil lagana wo chupke chupke nazar milana

wo aarzuon ke KHwab bunna wo qissa-e-na-tamam likhna

mere nagar ki hasin fazao kahin jo un ka nishan pao

to puchhna ye kahan base wo kahan hai un ka qayam likhna

khuli fazaon mein sans lena abas hai ab to ghuTan hai aisi

ki chaaron jaanib shajar khaDe hain salib-surat tamam likhna

gai ruton mein 'hasan' hamara bas ek hi to ye mashghala tha

kisi ke chehre ko subh kahna kisi ki zulfon ko sham likhna

(3645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna Kabhi DaraKHton Pe Nam Likhna In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna Kabhi DaraKHton Pe Nam Likhna is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna Kabhi DaraKHton Pe Nam Likhna for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna Kabhi DaraKHton Pe Nam Likhna in PDF.