Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7973f357963e782aa5f701f808d5d772, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Aabaad Karta Hai Kabhi Barbaad Karta Hai - Hasan Rizvi Poetry In English - Darsaal

Kabhi Aabaad Karta Hai Kabhi Barbaad Karta Hai

kabhi aabaad karta hai kabhi barbaad karta hai

sitam har rose hi wo ek naya ijad karta hai

hum us ki har ada par rose par phailae aate hain

nazar ke jal mein paband jo sayyaad karta hai

wo kal bhi mo'atabar tha aaj bhi rahbar hamara hai

wo dushman jo watan ki khokhli buniyaad karta hai

usi ke ishq mein jalna meri taqdir Thahri hai

mohabbat ki nai jo bastiyan aabaad karta hai

main us ke pyar ke dhagon se apni umr bunta hun

jo mera nam le le kar mujhe barbaad karta hai

tazad-e-ishq ka ye khel bhi kitna anokha hai

use hum bhul jate hain jo hum ko yaad karta hai

zamana ho gaya lekin KHabar lene nahin aaya

jo panchhi rose mere nam par aazad karta hai

ajab wo shaKHs hai us ki mohabbat bhi nirali hai

jo pahle qaid kar ke baad mein aazad karta hai

main ek muddat se us ke pyar ki KHushbu mein jita hun

'hasan' misl-e-hawa jo rose mujh ko shad karta hai

(1636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Aabaad Karta Hai Kabhi Barbaad Karta Hai In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Kabhi Aabaad Karta Hai Kabhi Barbaad Karta Hai is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Kabhi Aabaad Karta Hai Kabhi Barbaad Karta Hai for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Kabhi Aabaad Karta Hai Kabhi Barbaad Karta Hai in PDF.