Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fab69b8f7d1deda02e0da2ad8ca67de6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Anis-e-jaan Hain Abhi Tak Nishaniyan Uski - Hasan Rizvi Poetry In English - Darsaal

Anis-e-jaan Hain Abhi Tak Nishaniyan Uski

anis-e-jaan hain abhi tak nishaniyan us ki

bhulae bhul na pae kahaniyan us ki

har ek lahje mein shamil hai zaiqa us ka

sada sada mein hain gauhar-fishaniyan us ki

kisi ko mar gaya is ka tund-o-tez mizaj

hamein to mar gain qadr-daniyan us ki

zara si baat pe us ka simaT simaT jaana

wo baat baat pe nazran jhukaniyan us ki

kiye hain jab bhi taqaze nae nae us se

suni hain phir wahi baatan puraniyan us ki

kisi ki baat pe us ka mahak mahak uThna

wo mere zikr pe kuchh bad-gumaniyan us ki

nazar mein husn kisi ka 'hasan' samata nahin

ki hum ne dekhi hain uThti jawaniyan us ki

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Anis-e-jaan Hain Abhi Tak Nishaniyan Uski In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Anis-e-jaan Hain Abhi Tak Nishaniyan Uski is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Anis-e-jaan Hain Abhi Tak Nishaniyan Uski for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Anis-e-jaan Hain Abhi Tak Nishaniyan Uski in PDF.