Ab Ke Yaro Barkha-rut Ne Manzar Kya Dikhlae Hain
ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain
jalte bujhte chehre hain aur maddham maddham sae hain
aaj bhi suraj ke bujhte hi halki gahri sham hui
aaj bhi hum ne tanha ghar mein angare dahkae hain
kaun kisi ka dukh-sukh banTe kaun kisi ki rah take
chaaron jaanib chalte-phirte KHud-gharzi ke sae hain
un ki yaad mein pahron rona apni yahi bas aadat hai
log bhi kaise diwane hain hamein hansane aae hain
hum pyason ke dil mein aag lagane ka hai shauq 'hasan'
ya phir baadal aaj kisi ki zulfen chhune aae hain
(905) Peoples Rate This