Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_718427e015bf878abcf30cfb568f08c1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tai Mujhse Zindagi Ka Kahan Fasla Hua - Hasan Nizami Poetry In English - Darsaal

Tai Mujhse Zindagi Ka Kahan Fasla Hua

tai mujh se zindagi ka kahan fasla hua

hai mera gham ke phul se daman bhara hua

hariyaliyon ke waste aankhen taras gain

har khet mein mila hamein patthar uga hua

uDti hui patang ke manind main bhi hun

mazbut ek Dor se lekin bandha hua

har samt ehtijaj ki aawaz mar gai

kis KHamushi ke sath ye mahshar bapa hua

is shahr ko faqir ki jab bad-dua lagi

barish hui na phir koi manzar hara hua

dekha hai us ke sath bhi chal kar bahut 'hasan'

lagta hai wo hasin agar ho ruka hua

(1027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tai Mujhse Zindagi Ka Kahan Fasla Hua In English By Famous Poet Hasan Nizami. Tai Mujhse Zindagi Ka Kahan Fasla Hua is written by Hasan Nizami. Read famous Poem Tai Mujhse Zindagi Ka Kahan Fasla Hua for youth and Student by Hasan Nizami. Free Download Tai Mujhse Zindagi Ka Kahan Fasla Hua in PDF.