Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e7dbcaafe607cbee6dfaf483c81467e8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ShaKH Se Phul Ko Phir Juda Kar Diya - Hasan Nizami Poetry In English - Darsaal

ShaKH Se Phul Ko Phir Juda Kar Diya

shaKH se phul ko phir juda kar diya

zaKHm peDon ka kis ne hara kar diya

ek TukDa KHushi ka tha rakkha hua

jaane kis shaKHs ne lapata kar diya

kyun talluq ki buniyaad Dahne lagi

be-yaqini ko kis ne khaDa kar diya

pahle manzil dikhai mujhe aur phir

band chaaron taraf rasta kar diya

waqt KHud apne chehre se Dar jaega

main ne ehsas ko aaina kar diya

kaun KHush-fahmiyan palta roz-o-shab

shukr hai zindagi ne riha kar diya

waqt ne chaal kaisi chali ai 'hasan'

dost jaise ko dushman-numa kar diya

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaKH Se Phul Ko Phir Juda Kar Diya In English By Famous Poet Hasan Nizami. ShaKH Se Phul Ko Phir Juda Kar Diya is written by Hasan Nizami. Read famous Poem ShaKH Se Phul Ko Phir Juda Kar Diya for youth and Student by Hasan Nizami. Free Download ShaKH Se Phul Ko Phir Juda Kar Diya in PDF.