Rut Hai Aisi Ki Dar-o-baam Na Sae Honge
rut hai aisi ki dar-o-baam na sae honge
log palkon pe hasin KHwab sajae honge
waqt ke sath badal jate hain chehre sare
aaj apne hain yahi log parae honge
log isi wajh se pathraw kiya karte hain
aap shishe ki dukan KHub sajae honge
rah hamwar na aasan tha husul-e-manzil
hausle hum ne bahut apne ganwae honge
yunhi ehsas-e-nadamt to nahin un ko 'hasan'
apne hathon se hi ghar apna jalae honge
(916) Peoples Rate This