Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b12d7e58b4189dfbc13e816ce5dbadab, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pahle Nazr Lab-o-ruKHsar Karegi Duniya - Hasan Nizami Poetry In English - Darsaal

Pahle Nazr Lab-o-ruKHsar Karegi Duniya

pahle nazr lab-o-ruKHsar karegi duniya

phir tujhe bar-sar-e-paikar karegi duniya

gesu-e-zist ko suljhane mein guzrenge din

mujh se is darja agar pyar karegi duniya

chhoD degi tujhe Takrane ki KHatir aur phir

dar-o-diwar se inkar karegi duniya

mujh ko munsif ke bhi mansab pe karegi faez

jhuT se laDne ko tayyar karegi duniya

mujh ko masruf bhi rakkhega koi kar-e-abas

waqt-e-masraf pe ye bekar karegi duniya

gesu-e-zulmat-e-shab mujh ko chhupa le na kahin

is pahle ki giraftar giregi duniya

main talabgar hun jine ka 'nizami' lekin

jaane kab KHwab se bedar karegi duniya

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle Nazr Lab-o-ruKHsar Karegi Duniya In English By Famous Poet Hasan Nizami. Pahle Nazr Lab-o-ruKHsar Karegi Duniya is written by Hasan Nizami. Read famous Poem Pahle Nazr Lab-o-ruKHsar Karegi Duniya for youth and Student by Hasan Nizami. Free Download Pahle Nazr Lab-o-ruKHsar Karegi Duniya in PDF.