Judai Bhi Qarabat Ki Tarah Thi
judai bhi qarabat ki tarah thi
magar saat nahusat ki tarah thi
lipaT ke so gaya main zindagi se
ghazab-naki inayat ki tarah thi
wo fateh tha magar jazbe se aari
hamari haar nusrat ki tarah thi
hiran ki aankh mein dahshat thi zinda
magar ye chashm hairat ki tarah thi
guzari thi jo saat sath tere
nazar mein wo amanat ki tarah thi
yaqin karna guman ke daere mein
tabiat us ki aurat ki tarah thi
abhi jo KHak ki paiwand si hai
falak-bos ek imarat ki tarah thi
dua man ki muhafiz thi nahin to
saubat bhi qayamat ki tarah thi
(907) Peoples Rate This