Wo Kaj-nigah Na Wo Kaj-shiar Hai Tanha
wo kaj-nigah na wo kaj-shiar hai tanha
bas ek payambar-e-jannat-nisar hai tanha
na bulbulon ki azan hai na titliyon ka tawaf
abhi chaman mein gul-e-nau-bahaar hai tanha
uThae minnat-e-sarsar ki naz-e-baad-e-nasim
har ek haal mein sahra shikar hai tanha
falak nujum se raushan zamin charaghon se
hujum-e-nur mein ek sham-e-tar hai tanha
jami hai bazm-e-masarrat ghazal-chashmon se
jise mili hai nazar ashk-bar hai tanha
hamin ne KHema-e-hijran mein kaT din raaten
hamin ko fikr thi behad ki yar hai tanha
chahal-pahal hai bahut yun to mai-kade mein 'naim'
miyan-e-jam-o-subu baada-KHwar hai tanha
(1045) Peoples Rate This