Wo Bhi Kahta Tha Ki Us Gham Ka Mudawa Hi Nahin
wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin
dil jalane ke alawa koi chaara hi nahin
zor-e-wahshat bhi agar kam ho to chalna hai mudam
sar chhapane ke liye dasht mein saya hi nahin
jal ke hum rakh hue hain ki bane hain kundan
jauhari ban ke kisi shaKHs ne parkha hi nahin
gard-e-shohrat ko bhi daman se lipaTne na diya
koi ehsan zamane ka uThaya hi nahin
meri aankhon mein wahi shauq-e-tamasha tha 'naim'
us ne jhuk kar meri taswir ko dekha hi nahin
(846) Peoples Rate This