Usi KHush-nawa Mein Hain Sab Hunar Mujhe Pahle Tha Na Qayas Bhi
usi KHush-nawa mein hain sab hunar mujhe pahle tha na qayas bhi
usi KHush-nawa pe saja hai kya meri shairi ka libas bhi
wo ghazal ka rup liye hue mujhe har maqam pe le gaya
kabhi dasht-e-yar ke darmiyan kabhi shahr-e-fikr ke pas bhi
jise itna auj-e-nazar mila use kyun na dard-e-zamin mile
kisi falsafe ka nuzul hai tere lab pe kalma-e-yas bhi
koi jaise nok-e-sinan liye shab-o-roz sar pe khaDa raha
hai aziyyaton ke shumar mein ye aziyyaton ka hiras bhi
ruKH-e-dagh-e-dil ke siwa 'hasan' main nawa-e-be-dil-o-shad hun
inhi aashiqon ka hai rang bhi unhi kaamilon ka hai bas bhi
(934) Peoples Rate This