Raat Guzri Ki Shab-e-wasl Ka Paigham Mila
raat guzri ki shab-e-wasl ka paigham mila
so gae KHwab ki banhon mein jo aaram mila
DhunDte rahiye shab-o-roz umidon ke qadam
kucha-e-zist mein le de ke yahi kaam mila
KHubi-e-baKHt ki jab bhul chuka tha sab kuchh
bewafai ka lab-e-ghair se ilzam mila
pa-piyaada tha magar rah mein wo dhum machi
jhuk ke tazim se shahzada-e-ayyam mila
hum ne bechi nahin jis rose mata-e-ghairat
ek piyala bhi na mai ka hamein us sham mila
muKHtasar ye hai ki jab waqt-e-wida-e-gul tha
KHwab mein aa ke gale mujh se wo gulfam mila
hum junun hai ki nahin rah mein puchhenge 'naim'
dasht-e-ghurbat mein ye kya kam hai ki hamnam mila
(839) Peoples Rate This