Qasida Tujhse Ghazal Tujhse Marsiya Tujhse
qasida tujh se ghazal tujh se marsiya tujh se
har ek harf hua sahab-e-nawa tujh se
zaban-kushai-e-gham se khuli kitab-e-KHayal
waraq waraq pe khula husn-e-muddaa tujh se
zamin mein phuT paDa chashma-e-junun-saman
gulon mein sard paDi aatish-qaba tujh se
kahan se zud-faramoshiyon ki KHu sikhi
jo dekhiye to na thi barq-ashna tujh se
pahunch to jata sar-e-KHema-e-wafa-abaad
magar hai sust qadam umr-e-tez-pa tujh se
kiye the kaam jo dil ke sipurd un ko bhi
dimagh-e-dahr se baDh kar hai ab gila tujh se
hua jo kucha-e-tanqid mein 'hasan' ruswa
milaya ghaib ne 'ghaalib' ka silsila tujh se
(941) Peoples Rate This