Mujhko Koi Bhi Sila Milne Mein Dushwari Na Thi
mujh ko koi bhi sila milne mein dushwari na thi
sab hunar aate the lekin aql se yari na thi
jin dinon iKHlas mein thoDi si ayyari na thi
husn ke darbar mein sabit wafadari na thi
sar-kashi ke ahd-namon ki hifazat ke liye
mere qalb-o-jaan se behtar koi almari na thi
jin usulon ke liye jina bahut mushkil hua
un ki KHatir jaan de dene mein dushwari na thi
husn hi ka wo ilaqa tha jahan sab kuchh mila
ishq ki apni alag koi zamin-dari na thi
sab pareshan hain ki aaKHir kis waba mein wo mere
jin ko ghurbat ke alawa koi bimari na thi
kis tarah baad-e-fana se main bacha leta use
us ghazal paikar mein koi fan ki chingari na thi
rose ek muzi ko neze par uThata tha 'naim'
inqilabi quwwaton ki jab samajhdari na thi
(866) Peoples Rate This