Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eb78b4e0c0d17abb350b13775839f2e9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mal-o-mata-e-dasth Sarabon Ko De Diya - Hasan Nayeem Poetry In English - Darsaal

Mal-o-mata-e-dasth Sarabon Ko De Diya

mal-o-mata-e-dasth sarabon ko de diya

jo kuchh zar-e-KHayal tha KHwabon ko de diya

rakhne ka jo guhar tha use dil mein rakh liya

bikne ka tha jo mal kitabon ko de diya

sabzon ko KHush-libas bana kar zamin ne

kuchh rashk ka jawaz gulabon ko de diya

apne lahu ki bund bana kar dam-e-nashat

ek soz-e-la-zawal sharabon ko de diya

aae na jab giraft mein saif-o-qalam 'naim'

apna tamam karb rababon ko de diya

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mal-o-mata-e-dasth Sarabon Ko De Diya In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Mal-o-mata-e-dasth Sarabon Ko De Diya is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Mal-o-mata-e-dasth Sarabon Ko De Diya for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Mal-o-mata-e-dasth Sarabon Ko De Diya in PDF.