Lutf-e-aghaz Mila Lazzat-e-anjam Ke Baad

lutf-e-aghaz mila lazzat-e-anjam ke baad

hausla dil ka baDha koshish-e-nakaam ke baad

ab KHuda jaane tujhe bhi hai talluq ki nahin

log lete hain mera nam tere nam ke baad

mai-kada tha to wahin rose chala jata tha

ab kahan koi Thikana hai mera sham ke baad

koi aaya hi nahin ku-e-wafa tak warna

kuchh bhi mushkil nahin ye rah do ek gam ke baad

ek do ghunT bahut talKH hai mai ki lekin

lutf aaega tujhe shaiKH do ek jam ke baad

waqt kaTta raha kaTti rahin rahen lekin

hum ne muD muD ke tumhein dekha har ek gam ke baad

kuchh to saqi se gila hoga 'hasan' ko warna

kaun mai-KHane se uThta hai do ek jam ke baad

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf-e-aghaz Mila Lazzat-e-anjam Ke Baad In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Lutf-e-aghaz Mila Lazzat-e-anjam Ke Baad is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Lutf-e-aghaz Mila Lazzat-e-anjam Ke Baad for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Lutf-e-aghaz Mila Lazzat-e-anjam Ke Baad in PDF.