Kuchh Usulon Ka Nasha Tha Kuchh Muqaddas KHwab The
kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the
har zamane mein shahadat ke yahi asbab the
koh se niche utar kar kankari chunte hain ab
ishq mein jo aabju the jang mein sailab the
saz o saman the zafar ke par wo shab mein luT gae
KHak o KHun ke darmiyan kuchh KHwab kuchh kam-KHwab the
kya dam-e-ruKHsat nazar aate KHutut-e-dilbari
naqsh the us chand ke lekin ba-shakl-e-ab the
main udu ki justuju mein tha ki ek patthar laga
muD ke dekha to sinan tane hue ahbab the
the bahut nayab wo nur-e-qalam zor-e-bayan
shola uTTha jab junun ka phir wahi nayab the
kya firaq o faiz se lena tha mujh ko ai 'naim'
mere aage fikr-o-fan ke kuchh nae aadab the
(1592) Peoples Rate This