Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_064bffb2f72fbcf456282a050b8bc5b7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Habib Ne Lafzon Ka Haar Bheja Hai - Hasan Nayeem Poetry In English - Darsaal

Kisi Habib Ne Lafzon Ka Haar Bheja Hai

kisi habib ne lafzon ka haar bheja hai

basa ke itr mein dil ka ghubar bheja hai

hui jo sham to apna libas pahna kar

shafaq ko jaise dam-e-intizar bheja hai

kisi ne Dubti subhon taDapti shamon ko

ghazal ke jam mein shab ka KHumar bheja hai

saja ke daman-e-gul ko sharara-e-nam se

kisi ne taj-e-dil-e-daghdar bheja hai

kise bulane ko is lala-e-wafa ne 'hasan'

saba ko meri taraf bar bar bheja hai

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Habib Ne Lafzon Ka Haar Bheja Hai In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Kisi Habib Ne Lafzon Ka Haar Bheja Hai is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Kisi Habib Ne Lafzon Ka Haar Bheja Hai for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Kisi Habib Ne Lafzon Ka Haar Bheja Hai in PDF.