Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_09375b4f14e48cf17af4cf85d1c48fe6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHwab Thahra Sar-e-manzil Na Tah-e-baam Kabhi - Hasan Nayeem Poetry In English - Darsaal

KHwab Thahra Sar-e-manzil Na Tah-e-baam Kabhi

KHwab Thahra sar-e-manzil na tah-e-baam kabhi

is musafir ne uThaya nahin aaram kabhi

shab-ba-KHair us ne kaha tha ki sitare larze

hum na bhulenge judai ka wo hangam kabhi

sar-kashi apni hui kam na umiden TuTin

mujh se kuchh KHush na gaya mausam-e-alam kabhi

hum se aawaron ki sohbat mein hai wo lutf ki bas

do-ghaDi mil to sahi gardish-e-ayyam kabhi

ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta

puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Thahra Sar-e-manzil Na Tah-e-baam Kabhi In English By Famous Poet Hasan Nayeem. KHwab Thahra Sar-e-manzil Na Tah-e-baam Kabhi is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem KHwab Thahra Sar-e-manzil Na Tah-e-baam Kabhi for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download KHwab Thahra Sar-e-manzil Na Tah-e-baam Kabhi in PDF.