Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_18f32bfe3650f722260b21b23719eda7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHayal-o-KHwab Mein Kab Tak Ye Guftugu Hogi - Hasan Nayeem Poetry In English - Darsaal

KHayal-o-KHwab Mein Kab Tak Ye Guftugu Hogi

KHayal-o-KHwab mein kab tak ye guftugu hogi

uThao jam ki ab baat ru-ba-ru hogi

abhi hun pas to wo ajnabi se baiThe hain

main uTh gaya to bahut meri justuju hogi

mujhe batao to kuchh kaam aa sakun shayad

tumhaare dil mein bhi ek fasl-e-arzu hogi

tujhi ko DhunDhta phirta tha dar-ba-dar phir bhi

mujhe yaqin tha ruswai ku-ba-ku hogi

badal gaya bhi agar wo to dekhne mein 'naim'

wahi libas wahi shakl hu-ba-hu hogi

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-o-KHwab Mein Kab Tak Ye Guftugu Hogi In English By Famous Poet Hasan Nayeem. KHayal-o-KHwab Mein Kab Tak Ye Guftugu Hogi is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem KHayal-o-KHwab Mein Kab Tak Ye Guftugu Hogi for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download KHayal-o-KHwab Mein Kab Tak Ye Guftugu Hogi in PDF.