Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2fe2c9805e48a74ade3dd28c2880c177, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHair Se Dil Ko Teri Yaad Se Kuchh Kaam To Hai - Hasan Nayeem Poetry In English - Darsaal

KHair Se Dil Ko Teri Yaad Se Kuchh Kaam To Hai

KHair se dil ko teri yaad se kuchh kaam to hai

wasl ki shab na sahi hijr ka hangam to hai

nur-e-aflak se raushan ho shab-e-gham ki na ho

chand taron se mera nama o paigham to hai

kam nahin ai dil-e-betab mata-e-ummid

dast-e-mai-KHwar mein KHali hi sahi jam to hai

baam-e-KHurshid se utre ki na utre koi subh

KHema-e-shab mein bahut der se kohram to hai

jo bhi ilzam mere ishq pe aaya ho 'naim'

un se wabasta kisi taur mera nam to hai

(1001) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHair Se Dil Ko Teri Yaad Se Kuchh Kaam To Hai In English By Famous Poet Hasan Nayeem. KHair Se Dil Ko Teri Yaad Se Kuchh Kaam To Hai is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem KHair Se Dil Ko Teri Yaad Se Kuchh Kaam To Hai for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download KHair Se Dil Ko Teri Yaad Se Kuchh Kaam To Hai in PDF.