Karen Na Yaad Shab-e-hadisa Hua So Hua
karen na yaad shab-e-hadisa hua so hua
bhula den aao har ek waqia hua so hua
bura hua ki laDe jaan-nisar aapas mein
bura hai aur bhi ye tazkira hua so hua
ghazab hua ki nae log aa base dil mein
bichhaDna un se alag saneha hua so hua
kahan kahan se na aafat ki aandhiyan aain
dayar-e-qalb mein jo zalzale hua so hua
bahut se kanTe gire phul ban ke daman mein
gulon ki zat se jo faeda hua so hua
pahan ke dost bhi nikle libas-e-tanz 'hasan'
wo apni aan mein be-qaida hua so hua
(846) Peoples Rate This