Jadu-e-KHwab Mein Kuchh Aise Giraftar Hue
jadu-e-KHwab mein kuchh aise giraftar hue
barish-e-sang hui bhi to na bedar hue
jab the KHush-haal bhale lagte the rishte gham ke
ab wahi rishte meri jaan ka aazar hue
jab talak panw mein wahshat thi junun mein taqat
na kisi sae mein baiThe na kabhi KHar hue
main ne jab gulf mein kuchh daulat-o-izzat pai
aalam-e-fan bhi mere haq mein razakar hue
jab khule naqd ke ausaf ba-faiz-e-naqdi
kuchh risalon ke editor bhi taraf-dar hue
wasl se jin ke hai maghrib mein qayamat si bapa
un hi lounDon ke liye 'mir'-ji bimar hue
goliyan chalne ko tayyar thin pahle se 'naim'
hum to bas jhanDa uThane ke gunahgar hue
(901) Peoples Rate This