Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai

jabr-e-shahi ka sirf baghawat ilaj hai

apna azal se ek husaini mizaj hai

aage to zahr-e-ishq mein sab zahr the ghule

ab shairi ki jaan rag-e-ehtijaj hai

aali nazar ke sher pe tikhe mubahise

be-nur aalimon ka maraz la-ilaj hai

har aan hain dimagh mein afkar-e-shab-nawaz

is gham ki saltanat mein bas ek dil siraj hai

kya di hai lab-kushai ki qimat use bhi dekh

is daftar-e-nawa mein sabhi indiraj hai

is sondhi miTTiyon ne diya rang o zaiqa

hiron se baDh ke aab mein mulki anaj hai

'iqbaal' ki nawa se musharraf hai go 'naim'

urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon ka taj hai

(1236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai in PDF.