Gham Se Bikhra Na Paemal Hua
gham se bikhra na paemal hua
main to gham se hi be-misal hua
waqt guzra to mauja-e-gul tha
waqt Thahra to mah-o-sal hua
hum gae jis shajar ke sae mein
us ke girne ka ehtimal hua
bas ki wahshat thi kar-e-duniya se
kuchh bhi hasil na hasb-e-haal hua
sun ke iran ke nae qisse
kuchh ajab sufiyon ka haal hua
jaane zindan mein kya kaha us ne
jis ka kal raat intiqal hua
kis liye zulm hai rawa is dam
jis ne puchha wo paemal hua
jis talluq pe faKHr tha mujh ko
wo talluq bhi ek wabaal hua
ai 'hasan' neza-e-rafiqan se
sar bachana bhi ek kamal hua
(1081) Peoples Rate This