Dil Wo Kisht-e-arzu Tha Jis Ki Paimaish Na Ki
dil wo kisht-e-arzu tha jis ki paimaish na ki
sair-e-duniya ke siwa hum ne koi KHwahish na ki
motiyon se chashm-o-jaan ko aaina-KHana kiya
sip ke TukDon se baam-o-dar ki aaraish na ki
kis ko fursat thi ki sunta us safar ka majra
jab usi manzil-nashin ke honT ne jumbish na ki
us ne jo bhi rup dhaara us ne jo bhi dukh diya
aadmi banne ki hum ne us se farmaish na ki
kuchh qalam-bandi se mujh ko aar tha warna 'naim'
kab mere abr-e-nigah ne fikr ki barish na ki
(1065) Peoples Rate This