Chehre Pe Mohr-e-gham Hai KHat-o-Khaal Ki Tarah
chehre pe mohr-e-gham hai KHat-o-KHal ki tarah
mazi bhi dam ke sath hai ab haal ki tarah
patte the KHak-bos to shaKHen thin sar-nigun
kunj-e-chaman bhi tha dil-e-pamal ki tarah
apne haruf-e-shauq jo shoala-ba-jaan the kal
ThanDe paDe hain aaj wo aqwal ki tarah
tahzib hai ki aae to hans bol kar gae
chupke se jaiye na mah-o-sal ki tarah
sab ke sitare dekh ke dil ne salah di
gardish mein kyun paDo kisi rumal ki tarah
aanchal mein nind bandh ke is raat aa bhi ja
ye din laga hai jaan ko janjal ki tarah
rakhiye bacha ke apna dafina hasan-'naim'
gham ko luTaiye na zar-o-mal ki tarah
(941) Peoples Rate This