Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b5121a9b0530076c27e78eae9af69536, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
BichhDen To Shahar Bhar Mein Kisi Ko Pata Na Ho - Hasan Nayeem Poetry In English - Darsaal

BichhDen To Shahar Bhar Mein Kisi Ko Pata Na Ho

bichhDen to shahar bhar mein kisi ko pata na ho

tum ko bhi kuchh malal hamein bhi gila na ho

majlis ki KHwab-gah jahan bhi nazar mili

un ko yahi tha KHauf koi dekhta na ho

jin hadson ki aag se daman-e-dil jala

mumkin nahin charagh-e-suKHan bhi jala na ho

meri ghazal mein jaisa tarannum hai soz hai

akasr hua guman ki usi ki sada na ho

un se alag hua to yahi fikr hai 'naim'

un ka tapak-o-mehr kahin waqia na ho

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BichhDen To Shahar Bhar Mein Kisi Ko Pata Na Ho In English By Famous Poet Hasan Nayeem. BichhDen To Shahar Bhar Mein Kisi Ko Pata Na Ho is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem BichhDen To Shahar Bhar Mein Kisi Ko Pata Na Ho for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download BichhDen To Shahar Bhar Mein Kisi Ko Pata Na Ho in PDF.