Bayan-e-shauq Bana Harf-e-iztirab Bana
bayan-e-shauq bana harf-e-iztirab bana
wo ek sawal ki jis ka na kuchh jawab bana
main ek bab tha afsana-e-wafa ka magar
tumhaari bazm se uTTha to ek kitab bana
mujhe safir bana apna ku-ba-ku ai ishq
kise hawas hai ki duniya mein kaamyab bana
main jis KHayal ko apna junun samajhta tha
wahi KHayal zamane ka husn-e-KHwab bana
kabhi to wajh-e-karam ban gai hai KHuddari
kabhi niyaz-talab bais itab bana
sara-e-dil mein jagah de to kaT lun ek raat
nahin ye shart ki mujh ko sharik-e-KHwab bana
jo ek dagh ki surat raha shab-e-ummid
nujum-e-dil mein wahi dard aaftab bana
mujhe na KHak mein milne de ai gham-e-pinhan
jo ban sakun to mujhe naqsh-e-la-jawab bana
mizha se qatra KHushi mein chhalak raha tha magar
sukut-e-lab se tere mauj-e-iztirab bana
bane hain KHwab ke jhonke nasim-e-KHuld-nashin
suluk-e-dahr jahan aatish-e-azab bana
bahut qarib se dekha to kho gae jalwe
nazar hi parda bani husn hi hijab bana
jo mere dasht-e-junun mein tha farq-e-ru-e-bahaar
wahi KHirad ke KHarabe mein ek gulab bana
amir-e-charKH ka ehsan nahin hai mujh pe 'naim'
mujhe hai naz ki zarre se aaftab bana
(962) Peoples Rate This