Aarzu Thi Ki Tera Dahr Bhi Shohra Howe
aarzu thi ki tera dahr bhi shohra howe
teri nisbat se ghazal ham-sar-e-zohra howe
kaun deta hai mujhe KHwab ki mashal har aan
aas ban kar na wahi qalb mein Thahra howe
ye na mehman-sara hai na hawas ka kucha
dil mein wo shaKHs base aa ke jo gahra howe
mauja-e-waqt mein ru-posh hai wo mah-e-tamam
chandni howe jahan yaad ka bajra howe
dhund hi dhund nazar aaya jidhar bhi dekha
meri duniya mere arman ka na chehra howe
dil ke aangan mein koi aa ke na jae wapas
is ilaqa mein agar ishq ka pahra howe
us ki taswir mein yun rang-e-alamat rakhiyo
wo kahin nur kahin phul ka gajra howe
itni tasir to fariyaad ki qismat ho 'naim'
hakim-e-waqt badal jae jo bahra howe
(763) Peoples Rate This