Aankhon Se Tapke Os To Jaan Mein Nami Rahe
aankhon se Tapke os to jaan mein nami rahe
mahke umid dard ki kheti hari rahe
ye kya ki aaj wasl to kal sadma-e-firaq
tab hai maza ki bazm-e-nigaran jami rahe
kab puchhta hai koi lagawaT se dil ka haal
yaron ka hai mizaj ki kuchh dil-lagi rahe
aafat ke pahaD ka din-raat samna
kis ki panah mange kahan aadmi rahe
jis ne bhi jaana ishq ko tafrih KHush raha
sanjida ho ke hum to nihayat dukhi rahe
ji chahta hai phir usi mah-wash se rabt ho
KHalwat-kade mein ruh ke phir chandni rahe
dil kya bujha ki nur nahin chaar-su 'naim'
jalta rahe dimagh to kuchh raushni rahe
(841) Peoples Rate This