Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6ec1d52eb8bc8bc2081b35a45a4d8854, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Manzar Mein Agar Kuchh Bhi Dikhai Nahin Dega - Hasan Nasir Poetry In English - Darsaal

Manzar Mein Agar Kuchh Bhi Dikhai Nahin Dega

manzar mein agar kuchh bhi dikhai nahin dega

koi bhi tere haq mein safai nahin dega

wo chand jo utra hai kisi aur ke ghar mein

mujh ko to andheron se rihai nahin dega

KHud apni zabanon se lahu chaTne walo

zalim tu sitam kar ke duhai nahin dega

sahmi hai samaat ki koi lafz hi gunje

ek shor ki phir kuchh bhi sunai nahin dega

dahliz ke us par bhi pahunchega bil-aKHir

kab tak ye lahu us ko dikhai nahin dega

jo shaKHs kamaega wahi khaega 'nasir'

auron ko koi apni kamai nahin dega

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzar Mein Agar Kuchh Bhi Dikhai Nahin Dega In English By Famous Poet Hasan Nasir. Manzar Mein Agar Kuchh Bhi Dikhai Nahin Dega is written by Hasan Nasir. Read famous Poem Manzar Mein Agar Kuchh Bhi Dikhai Nahin Dega for youth and Student by Hasan Nasir. Free Download Manzar Mein Agar Kuchh Bhi Dikhai Nahin Dega in PDF.