Khule Dilon Se Mile Fasla Bhi Rakhte Rahe
khule dilon se mile fasla bhi rakhte rahe
tamam umr ajab log mujh se uljhe rahe
hanut titliyan show-case mein nazar aain
sharir bachche gharon mein bhi sahme sahme rahe
ab aaina bhi mizajon ki baat karta hai
bikhar gae hain wo chehre jo aks bante rahe
main aane wale dinon ki zaban jaanta tha
isi liye meri ghazlon mein phul khilte rahe
daraKHt kaT gaya lekin wo rabte 'nasir'
tamam raat parinde zamin pe baiThe rahe
(816) Peoples Rate This