Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0301703b8b0e28217e5635e09b25ac5e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna - Hasan Nasir Poetry In English - Darsaal

Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna

Diary mein likh ke mere tazkire rakh chhoDna

phir kabhi un par laga kar hashiye rakh chhoDna

yaad ki album saja kar gosha-e-dil mein kahin

kaam aaenge wafa ke silsile rakh chhoDna

ye bhi kya pahle dikha kar manzilon ke raste

phir dilon ke darmiyan kuchh fasle rakh chhoDna

kya KHabar kab lauT aaen ajnabi deson se wo

peD par mahfuz un ke ghonsle rakh chhoDna

dard ke raste 'hasan'-nasir rawan rahte to hain

har qadam par tum magar raushan diye rakh chhoDna

(1027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna In English By Famous Poet Hasan Nasir. Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna is written by Hasan Nasir. Read famous Poem Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna for youth and Student by Hasan Nasir. Free Download Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna in PDF.