Bite Hue Lamhon Ke Jo Girwida Rahe Hain
bite hue lamhon ke jo girwida rahe hain
haalat ke hathon wahi ranjida rahe hain
in jalwon se mamur hai duniya mere dil ki
aainon ki basti mein jo nadida rahe hain
rindadan-e-bala-nosh ka aalam hai nirala
saqi ki inayat pe bhi nam-dida rahe hain
barson gham-e-haalat ki dahliz pe kuchh log
gul kar ke diye zehnon ke KHwabida rahe hain
har daur mein insan ne jiti hai ye bazi
har daur mein kuchh masale pechida rahe hain
insan ki surat mein kai rang ke patthar
hum sine pe rakkhe hue KHwabida rahe hain
mujrim ki safon mein hain wo mazlum bhi jin se
'najmi' ne jo kuchh puchha to sanjida rahe hain
(881) Peoples Rate This