Ahl-e-hawas Ke Hathon Na Ye Karobar Ho
ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho
aabaad hon sitare zamin regzar ho
ek shan ye bhi jine ki hai ji rahe hain log
tufan se lagao samundar se pyar ho
haalat mein kabhi ye tawazun dikhai de
gham mustaqil rahe na KHushi mustaar ho
nafrat ke sang-rezon ki barish thame kabhi
dair-o-haram ke beach safar KHush-gawar ho
sadiyon se ghul rahi hai isi fikr mein hayat
rahzan se pak zist ki har rahguzar ho
baad-e-sumum luT le chehron ki tazgi
agli sadi ki aisi na fasl-e-bahaar ho
'najmi' jo apne ahd ki tariKH ban gae
un shairon mein kash mera bhi shumar ho
(841) Peoples Rate This