Aainon Se Pahle Bhi Rasm-e-KHud-numai Thi
aainon se pahle bhi rasm-e-KHud-numai thi
dil shikar hote the aisi dilrubai thi
phul phul baam-o-dar raste hain gul-paikar
wo udhar se guzre the ya bahaar aai thi
pas ka musafir kyun uTh ke dur ja baiTha
nam puchh lene mein aisi kya burai thi
kuchh shafaq shafaq aariz kuchh ufuq ufuq chehre
aarzu ne bazm apni raat yun sajai thi
kitna mohtaram tha main bhulta nahin 'najmi'
bhuk bhi mere ghar mein sar jhuka ke aai thi
(737) Peoples Rate This